kavita hai
maine ek din tanhaa chaat pe tanhaa chand dekhaa
chaan rooi ke fahe saa komal aur shubhra thaa
chaand kee muskurahat me halkee see udaasee thee
wo udaasee sab ko nahee dikhtee thee
mai roz roz use dekhtaa
sirf chup chaap use dekhtaa
boltaa kuchh bhee naa thaa
ek din chaand ne khud b khud poochaa
tum mujhe itne gaur se kyun dekhte ho
maine kahaa mai hee nahee tumhe to pooree duniyaa dekhtee hai
chaand ne kahaa tumhaare dekhne me aur duniyaa ke dekhne me mujhe kuch antar nazar aayaa is liye poochaa
waise mujhe bhee maaloom hai mai sundar hoon
to maine poochaa ki haan ye sahee hai ki mai bhee tumaahree sundartaa dekh ke hee aakshit huaa hoon
par n jaane kyun tumhaare is pyaare se mukkhde aur muskaan ke peeche ek dard chuupaa hai
chaan muskuraa diyaa
bolo tumhe isse kyaa - tumko to sundartaa se matlab hai
meree chaandnee se matlab hai bus tum usse hee matlab rakho
maine bhee zind thaan lee nahee
agat tum hame apnaa dukh nahee bataaoge to mai bhee yun hee khaalee aakaash ke neeche letaa rahoongaa
bhale hee fanaa ho jaaoon
aur tab se meree chaand se dostee ho gayee hai
aur ham dono khoob baat karte hain us chaand kaa naam bulbul hai
jise mai bebo kahtaa hoon
us chaand ke salone se mukhde ke peeche udaasee kee baat fir karoongaa
abhee to mai chaand ke saath muskuraa rahaa hoon
bus
No comments:
Post a Comment